A Poet of Elements

Thursday, November 30, 2006

Dard kya hota hai bataayenge kisi roz
Haale-e-dil tumko sunaayenge kisi roz
Thi unki yeh zidd ke main jaaun unko manaane
Mujhko yeh vaham tha woh bulaayenge kisi roz
Allah qasam maine to socha bhi nahin tha
Woh "itnaa" mere dil ko dukhaayenge kisi roz
Har roz aaiine se yahi poochta hun main
Kya rukh pe tabbassum bhi sajaayenge kisi roz
Udne do in parindo ko aazaad fazaa mein
Tumhare honge agar laut aayenge kisi roz
Apne sitam ka dekh lena khud hi asar ZAFAR
Zakhm-e-jigar tamam dikhaayenge kisi roz

1 Comments:

Blogger #SensibleCinema said...

kya khoob likha hai zafar sahab.hum bhi nazmon aur ghazlon ke kayal hain aur is waqt jabalpur (Madhya Pradesh) mein hain aur ek private radio station mein radio jockey hain aur raat ka show karte hain aur koshish karte hain ki usse behtar bana paun ismein aapki madad chahiye huzur, show ka mood romantic hai magar mai pyaar ko halke pan ke sath pesh nahi karna chahti kyunki mai maanti hun ki mohabbat khuda ka diya wo nayaab tohfa hai hum sabko jo aehsaas ban har dil mein dhadakta hai mai apne show ko aur behtar kaise banaun
issmein aapki salaah chahiye

jawaab ki ummeed mein
Bhavna pathak
bhavnapathak05@gmail.com

8:48 AM  

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home