A Poet of Elements

Thursday, February 22, 2007

Tera dard tha teri yaad thi

Tera dard tha teri yaad thi
Main jahan raha main jidhar gaya
Mera din to yuhin guzar gaya
Ju.nhi shaam hui, main bikhar gaya!!!

Is abr ka mere yaar se
Bada milta julta mizaj tha
Kabhi toot kar bikhar gaya
Khabi berukhi se guzar gaya!!!

Jab main chhor dunga wo gali
Use yaad aaye-gi tab meri
Dhunde-ga wo tab mujhe
Use khabr mile-gi ke main mar gaya!!!

Abhi tang hai wo mere naam se
Mere baad aaye-ga wo dosto
Wo tumhi ko rok ke puchhe-ga
Main kahan pe hoon, main kidhar gaya???