A Poet of Elements

Thursday, November 30, 2006

Kal raat

Kal raat janay kia hua,
Kuchh dair pehlay neend se

Kuchh ashk milne aa gaye
Kuchh khwab bhee toote hue

Kuchh loog bhee bhoolay hue
Kuchh rasta bhatki hui'n

Kuchh gard mein liptee hui'n
Kuchh bay-tarah phaili hui'n

Kuchh khaul main simti hui'n
Bairabt C soochain kai

Bhooli huee batein kai
Ik shaks kee yadain kai

Phir der tak jaga raha
Sochon mein gum baitha raha

Ungli se thanday farsh per
Ik naam hee likhta raha

Kal raat bhee woh raat thee
Kuch der pehle neend say

Main der tak rota raha.

Kisi aur zindgi ka is mein hissa hai
Ek umar se bada humara rishta hai

Dil ko ek baar aankhen to deejiye
Zindgi se aage bhi kuch dikhta hai

Main jo bhi geet kagaz pe utaroon
Koyi aa ke wahan tera naam likhata hai

Log kahte hain us ko kisi ne nahi dekha
Tu muskraye to mujhe woh dikhata hai

Tera do lamho ka sath mila to sab mil gaya
Ab kyon pooche ye kismat kaun likhata hai

Dard kya hota hai bataayenge kisi roz
Haale-e-dil tumko sunaayenge kisi roz
Thi unki yeh zidd ke main jaaun unko manaane
Mujhko yeh vaham tha woh bulaayenge kisi roz
Allah qasam maine to socha bhi nahin tha
Woh "itnaa" mere dil ko dukhaayenge kisi roz
Har roz aaiine se yahi poochta hun main
Kya rukh pe tabbassum bhi sajaayenge kisi roz
Udne do in parindo ko aazaad fazaa mein
Tumhare honge agar laut aayenge kisi roz
Apne sitam ka dekh lena khud hi asar ZAFAR
Zakhm-e-jigar tamam dikhaayenge kisi roz

Har ek insan ko ek din muhabbat aazmati hai
Kisi pe muskarati hai Kisi se ruth jaati hai

Bhala insan ki kismat ka ye khel hai kaisa
Kisi ka kuch nahi jata kisi ki jaan jati hai....

hasil

meray hasil yeh mehroomi ajab mehsoos hoti hai...
tujhay paa kar kyun teri talab mehsoos hoti hai...
tumharay sath dekhi thi wagarna zindagi humko...
na tab mesoos hoti thi, na ab mehsoos hoti hai...

Koi baat nahi

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi….

Yehi bahut hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi….

Rakha tha aashiyana-e-dil main chhupa ke tumko
Woh ghar tumne chorr diya hai to koi baat nahi….

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi….

Kiskii majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi….

-Unknown

Kabhiii

Kabhi nazrein milane mein zamane beet jate hein
Kabhi nazrein churane mein zamane beet jate hein
Kabhi kali syaah raatein humein pal pal ki lagti hein
Kabhi ek pal bitane mein zamane beet jate hein
Kabhi khola ghar ka darwaza khadi thi samne manzil
Kabhi manzil ko aane mein zamane beet jate hein
Ek ek pal mein toot jate hein umr bhar ke woh rishtey
Woh rishtey jo banane mein zamane beet jate hein